Motigo Webstats - Free web site statistics Personal homepage website counter
Free counter Nargis - A True Love Story
Google

Sunday, May 27, 2007

"Hazaar saal nargis apni benoori pe roti hai,Badi Mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida."
Dr Iqbal ka ye mashoor sher meri nargis ka bayan nahin karta.Aaj mein Kolhapur aaya hoon.Nargis ki barsi par uski qabar par phool chadhane.Mein ne shadi nargis ki vajah se nahin ki,ye baat mere siva koi nahin janta.Mein qabrastan mein nargis ki wo tasweer dekh raha hoon,jis mein wo dulhan ki tarah saji hui thi.

Mein ne jaise hi Reliance Mobile Company join ki,meri pehli posting Kolhapur ki hui.Kolhapur mein panchsheel nagar mein mein ne ghar kiraiye se liya.Do ghar baad hi nargis ka ghar tha.Nargis ke abbu ka inteqal,mere aane ke ek saal pehle hua tha.Nargis ke ghar mein uski ammi aur ek bada bhai tha ,jo engineering ki padhai kar raha tha.Wo ghar ke kamon par dhyan nahin deta tha.Nargis ki badi behan thi,jo shadi hokar america chali gayi thi.

Nargis 17 baras ki thi jab mein Kolhapur aaya.Wo cycle mein school jaya karti thi.Uske lambe kale,Ghane bahoot khobsurat baal the.Tarasha hua jism tha.Nargis ka rang sanwala tha ,par usmein wo kashish thi,ki pehli baar mein har ek ka dhyan uski taraf jata tha.Nargis khelkood mein sabse aagey thi.Wo bahoot smart,chanchal,zindadil aur khushmijaz thi.Par mein ne uske chehra dekh kar samajh liya tha,ki usne dil mein bahoot gham chupaye hue hain.Sabse bada shayad abbu ka na hona.

Nargis mere ghar ke samne sadak par shaam mein ,school se aakar cycle chalati thi.Wo raz shaam badminton khelti thi.mein bahar lawn mein baitha,usse baatein kiya karta tha.Wo badminton khael kar mere ghar pani pene aati thi.Lawn mein thoda aaram kar wo apne ghar chali jati thi.Mein anjane mein nargis ki taarif kar diya karta tha.thi bhi wo kashish bhari.Hamesha har kisi ki madad karne mein aagey.

Uska bhai pata nahin kyon mujhse chidta tha.Na jane meri batoon se ya kisi aur vajah se nargis dil hi dil mein mujhse pyar karne lagi thi.Wo bahana dhoond kar mujhse milne aati,mujhe phone karti.Meri aur nargis ki umar mein 7 saal ka faasla tha.Mein use platonic love samajhta tha.Aur is liye nargis ki pyaar bhari batoon par dhyan nahin deta tha.Uski batoon ko halke andaz mein liya karta tha.Nargis mujhe kitna chahti thi iska mujhe andaza nahin tha.Uski harkatoon se ye zaahir hota tha ki wo,mujhe bahoot ahemiyat deti hai.

Hum rozana hi milte the.Usne mujhe eid mein aur meri saalgirah par greeting card bhi diye the.Usmein bhi kahin na kahin uska beinteha pyaar jhalakta tha.Mein har cheez ko Andekha kar diya karta tha.Kyonki mere dil mein eisi koi baat nahin thi.Nargis ki ammi bhi mujhe bahoot pasand karti thi.Nargis ke abbu Government department mein bade afsar the.Unke paas pushteni jaaydaad bhi kafi thi.Nargis ke gharwaalon ka guzara aasani se aur bahoot ache se chal raha tha.Nargis ke ghar mein saamne hi,ek bina deewar wala kuuan tha.Uske paas hi ghar ka lawn tha.

Nargis mujhe kisi na kisi bahane apne ghar bulati.Mujhe khaane ki daawat deti,par mein ne uske ghar sirf chai pi thi.Haan is baar eid mein zarror uske ghar khana khaya tha.Nargis ki ammi behad laziz khana banati thi.Mujhe meri ammi ke haath ke khane ki yaad aa gayi thi.Mein ne jab ye baat nargis ki ammi se kahi to, unhone kaha ki ,beta tum to mere bete jaise ho.Nargis ye baat sunkar khoob khush hui thi.Nargis ka bhai apna zyada waqt doston aur padhai mein lagata tha.

Mein jab bhi nargis ko ye batata ki meri shadi ki baat chal rahi hai ,to wo udaas ho jaya karti thi.Wo khamosh ho jati thi.Aur uska chehra har baat bayan kar deta tha,par wo hamesha ye baat kehti ,ki meri shadi to aapse hi hogi.Mein mere rishte ki baatein use batata,par har baar rishta pakka nahin ho pata tha.Par is baar ammi ne eid mein faisla kar liya tha,ki wo meri mangni kar hi mujhe kolhapur jaane dengi.Ammi aur ghar waloon ne ek ladki pasand ki aur aanan faanan mein meri mangni kar di gayi.Eid ke doosre hi din mein, Kolhapur chale jaya karta tha,is baar mangni ki wajah se teen din rukna pada.

Nargis ka phone mere mobile par roz hi aata tha.Usne is eid mein sharara silvaya tha,jo zyada tar muslim ladkiyaan shadi ke waqt pehnti hain.Wo bhi bahoot shoohk rang ka tha.Nargis ne eid ki mubarkbaad dene ke baad mujhe bataya ki wo,behad haseen lag rahi hai>har koi uski taarif kar raha tha,sirf mere.Kyonki mein wahan moujood nahin tha.Is baat ka nargis ko bahoot mallal tha.Use to sirf mere aane ka intezar tha.Jab mein ne eid ke doosre din use bataya ki meri mangni hone wali hai to use yaqeen nahin hua.Usne mujh se mazaq mein kaha ki agar mein mangni kar nahin aaya to wo, mujh se baat nahin karegi.Meri batton ko usne hansi mein taal diya.Ye baat usne is liye kahi thi ki use bharosa tha ki mein jhoot bool raha hoon aur mazaq kar raha hoon.Aur shadi to usi se karonga.Uske zehan mein kya chal raha tha iska mujhe ratti bhar bhi andaaza nahin tha.

Mein Kolhapur pahooncha to mangni ki aangothi pehen rakhi thi.Nargis ko maloom tha ki mein subah train se aa raha hoon.Us din nargis apne college bhi nahin gayi.Usne mujhe ye bhi bataya tha ki wo,eid ke din beauty parlour gayi thi,aur uska makeup shaandaar hua tha.Vese wo makeup se kafi door rehti thi.

Mein ne ghar ka taala khoola aur kapde badal kar betha hi tha ,ki nargis aa gayi.Aaj nargis behad khoobsurat aur haseen dekh rahi thi,na jaane kya baat thi ,wo puri dulhan ki tarah saji hui thi.Sharara shokh lal rang ka tha.Wo kabhi makeup nahin karti thi,par aaj usne mekeup kiya tha.Jo uske husn par chaar chand laga raha tha.Mera to dil keh raha tha ki apni mangni tod kar,aaj hi nargis se nikah kar loon.Sharare mein nargis beinteha khobsurat nazar aa rahi thi.sanwle rang pe uska makeup bahoot acha lag raha tha.Itne saalon mein nargis aaj to ghazab dha rahi thi.

Aaj mujhe Kolhapur aaye 4 saal ho gaye hain.Aur is beech nargis school se college mein daakhil ho gayi thi.Wo zaheen thi aur har kaam mein aagey rehti thi.

Aaj wo behad khush thi,mein ne uski taarif ki,to wo sharma rahi thi.mein ne college na jaane ki vajah puchi to usne kaha,'Aap aa rahe,the sirf is liye mein college nahin gayi.'Ammi ne apko ghar khaane pe bulaya hai.Usne mujh se pani manga.Mein ne jaise hi pani ka glass uski taraf badhaya,usne meri ungli mein mangni ki angoothi dekhi aur uska chehra safed phak pad gaya.Wo ekdam udaas ho gayi.Uski ankhon se ansoon tapkane lage.Usne glass haath mein liya aur mere ghar mein lagi Makkah Madina ki tasweer dekhne lagi.Wo mujh se lipt kar phoot phoot kar rone lagi.Wo ese ro rahi thi mano uska sabkuch khatam ho gaya ho.Wo ek pal mein hi behaal ho gayi.Nargis mere seene se chipak kar itne zor se ro rahi thi ki,uske dil ki dhadkan mujhe saaf saaf sunayi de rahi thi.Mera dil betha ja raha tha.Mein lachar tha.Uske munh se sirf ye lafz nikle - " apko aagey ki zindagi mubarak,Mein hamesha aap se pyar karti rahoongi."Meinaapke bina zinda nahin reh sakti.Mein qayamat ke din aap se jawab mangongi.Mein ne nargis se sirf itna kaha,"Mein nahin janta tha ki tum mujh se itna pyaar karti ho." Mein is se pehle kuch aur keh pata usne table par rakhi mangni ki tasweer uthai aur khudahafiz keh kar apne ghar chali gayi.Wo itni tez raftar se nikli ki mein use rok nahin paya,mein aawaz deta raha par nargis chali gayi.

Mein safar mein bahoot thak gaya tha.Nargis ki baatein aur harkateein dekh kar ghamgeen tha.Uske baare mein soochte huye mein bistar par let gaya.Na jaane kab meri neend lag gayi.

Bahar tez shor sunkar meri aankh khuli.Mein ne khidki se bahar jhanka to dekha kafi bheed ekatha ho gayi hai.nargis ki ammi zor-zor se ro rahein hain.Mein tezi se ghar ke bahar aaya.Dekhta hoon ki nargis ke ghar jo bina deewar wala kuaan hai,usmein se nargis ki laash bahar nikali jaa rahi hai.Mera dimag bilkul sunn pad gaya.Mujhe kuch samajh nahin aa raha tha.Kya karon ? Kahan Jaon ? Mangni ki aangothi meinne kuuein mein phek di,aur usi waqt faisla liya ki mein taazindagi shadi nahin karonga.

Nargis ne khudkushi ki ya uska peir kueein mein phisal gaya,pata nahin kya hua?Ye to khuda hi behtar janta hai.Nargis ka chehra maut ke baad chamak raha tha.Usmein ajeeb si roohaniyat thi.Eesa lag raha tha,mano wo chain ki neend so rahi ho.

mein jab nargis ke kamre mein gaya,to wahan uske bistar ke sirhane par meri mangni ki tasweer rakhi hui thi.Takiya bheega hua tha.Wo bheega hua tha nargis ke aasoon se.Mujhe nahin mallom nargis ne eesa kyon kiya,ya uske saath haadsa hua.Mein chah kar bhi apna rona nahin rok pa raha tha.Meri aankon se lagatar aanson beh rahe the.Anjane mein insaan kitni badi ghalti kar deta hai,iska andaza mujhe aaj ho raha tha.Mujhe apne aap par sharmindagi aur gussa aa raha tha.

Mein ab nargis se sirf jannat mein hi mil sakta hoon,kyonki wo jannat ke siva kahin aur ja hi nahin sakti.Usne to koi aur rasta dekha hi nahin tha.Sirf achhai aur sachhai ka rasta.Nargis eise ladki thi jiski achhaiyan lafzon mein bayan nahin ki ja sakti hain.Mujhe yaqeen hai,nargis is faani duniya se,us hamesha hamesha rehne wali duniya mein zyada khush hogi.wahan uske abbu bhi saath honge.Jinhe wo behad pyaar karti thi.


By- SAKN

Hinglish

Thursday, May 3, 2007

''Hazar saal nargis apni benuri pe roti hai,
Badi mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida ''

Labels: , ,

Enter your Email


Preview | Powered by FeedBlitz
Hindi Blogs. Com - हिन्दी चिट्ठों की जीवनधारा Directory of General Blogs Social Bookmarking
 Mr. Wong  Webnews  Icio  Oneview  Folkd  Yigg  Linkarena  Digg  Del.icio.us  Reddit  Simpy  StumbleUpon  Slashdot  Netscape  Furl  Yahoo  Spurl  Google  Blinklist  Blogmarks  Diigo  Technorati  Newsvine  Blinkbits  Ma.Gnolia  Smarking  Netvouz Information